1

Power of Soul

2

Peace Of Mind

3

Knowledge and Devotion

4

Love of God

5

Its all we need .... Come and find .

Friday 23 December 2016

The Classical Amalgamation 2




Bhajan bina hari naam bina








Lyrics -

Bhajan bina hari naam bina
jal jaiyo aiso jeevana

pahaad suna ek vriksha bina
vriksha suna paran bina
jal jaiyo aiso jeevana

mandir suna ek deep bina
deep suno jyoti bina
jal jaiyo aiso jeevana

praja suni ek raja bina
raaj suna nyaya bina
jal jaiyo aiso jeevan

kahat kabir suno bhai sadho
jag suna hai ram bina




Re manwa kyu jag mein liptayo







Lyrics -

Re manwa kyu jag mein liptayo
tero koi nahi sahayo

ye sansaar swapna ki maaya
birtha bharam bhulayo
kshan bhangur sab vastu binasi
peerti laga pachhitayo

jo prabhu nitya sahayak tero
tisko kyu bisarayo
sakal vyapak antaryami
jin sab jag upajayo

teri meri karat nisdin
sabhi janam bitayo
brahmanand dhyan kar prabhu ka
jo chahe sukh paayo



Ab tum kab sumiroge Ram





Lyrics -


Ab tum kab sumiroge Ram
garbhvas mein jap tap kinha
nikal bhayo beimaan

nain diye darshan karne ko
kaan diye sun gyan

paanv diye teerath karne ko
haath diye kar daan

daant diye tere mukhade ki shobha
jeebh dayi rat naam

kahat kabir suno bhai sadho
ai moorakh nadaan
kab sumiro ge Ram .

Ram naam to sab kahe






Lyrics -


Ram naam to sab kahe thag thakur aur chor
bina prem rijhe nahi tulsi nandkishore
kal kare so aaj kare aaj aaj hai tere haath
kal kal kya kare kal hai kaal ke haath

Bhaj le ram naam sukhdhaam
tera puran ho kaam

kashi jaave mathura jaave 
teerath phire tamaam
jaaye himachal kare tapasya
manwa nahi paave vishram
bhaj le...

jata rakhaye bhasma ramaye
jungal kiya mukaam
satguru ki sangat na kinhi
mile na atma ram 



Kaise din katihain






Lyrics -

Kaise din katihain  jatan bataye jaiyo
ehi paar ganga ohi paar jamuna
bichwa madaiya humra chhavaye jaiyo
achara phaadi ke kaagaj banaayi main
apni suratiya hiyare likhaye jaiyo
kahat kabira sun bhai sadho 
bahiya pakad ke rahiya bataye jaiyo

(baah pakad ke rasta bataye jana .....kyun ki hume bhi usi raste par jaana hai ekdin ,
rasta bata doge  to hum tumhe dhoondh lenege ki tum kahan ho ...so touching.when we love someone ,when he/she leaves us ,we always search him in the vast space.)


Suno ri dayaal mhari arzi 




Lyrics -

Suno ri dayaal mhari arzi 
in sansaar ma sago nahi koi mharo
saanch sada raghuveer ji beer ji

bhavsagar mein bahi jaat hoon
kadho to thari marzi 

maata pita kutumb kabilo sab
matlab ke garzi beer ji

meera kahe arzi sunlo
charan lagao thari marzi



Tere kanha ne dhoom machayi 





Lyrics -


Sun yashoda main doongi balaye
Tere kanha ne dhoom machayi 

jamuna tat par bansi bajaye 
bansi ki dhun se sabko rijhaye 
main hoon radha to shyam harjai
mere mathe pe bindiya sajayi

nis din ghere mohe beech dagar mein 
laaj ki mari main to chhip jaun ghar mein 
aiso natkhat hai krishna kanhayi
ungali chhodi to pakadi kalaye