Saturday 11 June 2016

Embracing Krishna by Milind  Chittal









Vidur ghar jaye chalo tum 


Lyrics -

Vidur ghar jaye chalo tum 
sabari ke ber sudama ji ke chaval
ruchi ruchi bhog lagaye 
bade bade mandir kaam kaam ke
aav andar nahi paare
surdas prabhu tumhare daras ko 
kahe ko der lagaye

Tum mat javo murari re 


Lyrics -

Tum mat javo murari re 
gokul jan hum vyakul hove 
nirmalwat praja saari re 

hui dwarika indrapuri re 
gokul ki gati nyari re 
krishna das ki man bhi na thire 

Sabse oonchi prem sagayi 


Lyrics -

sabse unchi prem sagaai 
duryodhana ko meva tyagyo saag vidur ghar khai 
sabse unchi...
juthe phal sabri ke khaaye 
bahu vidi swada batayi 
sabse unchi prem .... 
prem ke bas arjun rath hakyo 
bhool gaye thakurai 
sabse unchi prem ... 
aisi preet barhi vrindavana 
gopin naach nachaai sabse unchi .... 
sur kroor is laayak nahi 
kah lag karehu badhai 


Tum bin mori kaun khabar le 


Lyrics -

Tum bin mori kaun khabar le gobardhan giridhari 
mor mukut pitambar sohe kundal ki gati nyari 
bhari sabha ma daupadi tari rakho laaj humari re
gobardhan giridhari 
meera kahe prabhu giridhar naagar 
charan kamal balihari re 

Chalo man ganga jamuna teer 


Lyrics -

Chalo man ganga jamuna teer 
ganga jamuna nirmal paani sheetal hot sharir 
bansi bajawat gaavat kanha  sang liye balbeer 
mor mukut pitamber sohe kundal jhalkat heer 
meera kahe prabhu giridhar nagar charan kamal parseer

Yeri yasoda tose ladungi ladayi 


Lyrics -

Yeri yasoda tose larungi larayi
tere kunwar ne dhoom machayi
kahu ki sir se gagariya dharte
beech dagar mose niptat natkat
jhand hasat brij nand ke dulare 

Jo bhaje hari ko sada 


Lyrics -

Jo bhaje hari ko sada sohi param pad paayega 
deh ke maala tilak aur chhap nahi kisi ke kaam ke 
prem bhakti ke bina nahi nath ke nath man bhave ga 
dil ke darpan ko safa kar door kar abhimaan ko 
kaakh ho guru ke kadam ki to prabhu mil jayega
chhod duniya ke maje sab baith kar ekant mein
dhyan dhar hari ka charan ka phir janam nahi payega
dridh bharosa man mein karke jo jape hari naam ko 
kehta hai brhmanand brahmanand beech samayega 




0 comments:

Post a Comment