Tuesday 21 June 2016

Songs From Satya Narayan Vrat Katha by Manna Dey






Data deen bandhu bhagwan


Lyrics -

Deen bandhu bhagwaan
data deenbandhu bhagwaan
kar do is jag ka kalyaan
data deen bandhu bhagwaan

dukh mein hain dharti ke wasi
inki peer haro avinasi
meto dukh agyaan
data deen bandhu bhagwaan

rog shok aur paap mita do
sukh ka amrit ras barsa do
ho charnon mein dhyan
data deen bandhu bhagwaan

Narayan karunamaya sharnam



Lyrics -

Narayan karunamaya sharnam jai laxmipati vishnu sharnam
vipati humari tumne taari shok mitaye bhav bhaya haari
param pita parmeshwar sharnam
sampati paayi sab man chahi bhakt jano ki laaj bachayi
deenbandhu jagdeeshwar
jai jai jai parmeshwar sharnam jai jai laxmipati sharnam


Nath anathan ka  ya jag mein


Jo bhatak raha andhiyaare mein rahi ko raah dikha dena

jaisi laaj rakhi draupadi ki waise hi aan ubaro 
nath anaathan ka ya jag mein 
deen heen hum man ke paapi vipati humari taro prabhu ji 
antaryami 
daya karo ab dukh ka bhaar utaro 

Girey hue adhamo ko data


Lyrics-

Gire hue adhamo ko data apne haath uthao
naiya paar lagao mori naiya paar lagao
hum paapi kapati ati bhari
deen bandhu jag hitkaari
sukh ki raah dikhao mori naiya paar lagao
hum moorak vipada ke maare jaan na paye bhed tumhare
mahima tumhari prabhu bhed tumhare
bhool chook bisrao mori naiya paar lagao

Jai Laxmi Ramana 


Lyrics - 

Jai laxmi ramna satnarayan swami jan paatak harna
ratna jadit singhasan naarad kar niranjan  ghanta dwani baaje
vaishya manorath paayo shraddha taj dinhi
so phal bhogyo prabhu ji phir astuti kinhi
bhaav bhakti ke kaaran chhin chhin roop dharyo
shraddha dharan kinhi tinke kaaj saryo
chdhat prasad savaya kadli phal mewa
dhoop deep tulsi se raji satdeva
satnarayan ji ki aarti jo gaave
tan man sukh sampati man vaanchhit phal paave










0 comments:

Post a Comment