Wednesday 27 November 2013

S



Sai ki nagariya

Listen to sai ki nagariya

Lyrics- 

Sai ki nagariya jaana hai re bande 
jag nahi apna begana hai re bande

Patta toota dari se le gayi pawan udaye 
ab ke bichhude na na mile door padenge jaaye 

mali  aavan dekh ke kaliyan kari pukar 
phule phule chun liyen kaal humari baar 

chalti chaki dekh ke diya kabira roye 
du patan ke beech mein sabut bacha na koi 

loot sake to loot le satya naam ki loot 
pachhe phir pachhtao ge pran jahi jab chhoot

mati kahe kumhar se tu kya raunde mohi 
ek din aisa hoyega main roundungu toye 

lakdi kahe luhar se tu mat jari mohe 
ek din aisa hoye main jarungi toye

bande tu kar bandagi tau paave deedar 
awasar manus janma ka bahuri na barambaar 

kabira soya kya kare jaag na jape murari 
ek dina hai sowanan lambe paanw pasaari 


Sattanaam ka sumiran karle

Listen to sattanam ka sumiran karle

Lyrics- 



Sangat santan ki karle 

Listen to Sangat santan ki karle 

Lyrics-

Sangat santan ki karle janma ka sarthak karle
uttam nar deh paya prani iska hit kacchu kar le 
sadguru sharan jake baba janma maran door karle 
kahan se aaya kahan jaavega ek kuchh malum karna
do din ki zindagani ban mein hoshiyaar ho ke chalna 
kaun kisi ke zoru ladke kaun kisi ke saale 
jab lag pallu mein paisa bhai tab lag meetha bolen 
kahat kabira suno bhai sadho baar baar nahi laana 
apna hit kacchu kar kar le bhai aakhir akela jaana


Sunta hai guru gyani 

Lyrics -

Sunta hai guru gyani
gagan mein awaaz ho rahi hai jhini

Pahile aaye naad bindu se  
picche jamaaya pani
sab ghat puran pur rahya hai
alakh purush nirbani
wahan se aaya pata likhaya
trishna toune bujhai
amrit chhod chhod vishaya ko dhave
ulati kaas phasani
Gagan mandal mein gau biyani
 bhupe dui jamaya
Makhan makhan santo ne khaya
Chhachh jagat baparani
Bin dharati ek mandal dise
bin sarovara jyu pani
gagan mandal mein ghor ujiyala
bole gurumukh bani
Oham Oham baja baje
trikuti dham suhani
ira, pingala, sukhaman naari
Sun dhvaja phaharani
Kahe kabira suno bhai sadho
jai agam ki bani
dinbhar re jo najar bhar dekhe
aja amar ho nishani 


0 comments:

Post a Comment