Saturday 7 April 2012

Ram Shyam Gungaan 



Ram bhajan kar man

Listen to Ram bhajan kar man

Lyrics-

Raam hain swanaam dhanya
ram dhanya ram ram ko prnaam
ram naam ko pranaam
ram bhajan kar man
o man re kar tu ram bhajan
sab mein ram ram mein hain sab
tulsi ke prabhu nanak ke rab
ram ramaiya ghat ghat vasi
satya kabir bachan
ram naam mein paavak paawan
ravi tejomaya chandra sudhadhar
ram bhajan bin jyoti na jaage
jaaye na jee ki jaran
naam bhajan mei jyoti asimit
mangal deepak karman dipit
sakal amangal haran bhajan hai
sakal sumangal karan

Ram ka gungaan kariye

Listen to Ram ka gungaan kariye

Lyrics-

Ram ka gungaan kariye
ram prabhu ki bhadrata ka sabhayata ka dhyan dhariye
ram ke gun gun chirantar ram gun sumian ratan dhan
manujata ko kar vibhushit manuj ko dhanwaan kariye
shagun bhrahma swaroop sundar sujan ranjan bhoop sukhkar
ram atmaram atma ram ka samman kariye dhyan dhariye

Sumati sita ram

Listen to sumati sita ram

Lyrics-

Sumati sita ram aatmaram sitaram
Taran taaran charan chaaro dham
shashwati sree kripa sita ram shree karuna ratan
bharat laxman shatrusudan sahit shree panchayatan
sarvada sammukh viraje aanjaneya pranaam
dhanya jisne dhyandhar bhumadhya mein dekha
ayodhya hai bhakt ki mastak tilak rekha
navdwara puri jiska patitpavan naam
sita ram sita ram

Shree ram jai jai ram

Listen to shree ram jai jai ram

Lyrics-

shree ram jai ram jai ram jai ram
shankar manas hans pranam
hans vansh avatans pranaam
atithi brahma raghuveer pranaam
jeeva prajanam dheer pranaam
dhanubhanjan shiva bhakta pranaam
tatsat vyaktaa vyakta pranam
vasundhara vardaan pranaam
shree ram shree ram
punya surabhi pavmaan pranam
chhiro dhadhi gambhirya pranaam
uttarttam uttirya pranam

Kripa sarowar

Listen to Kripa sarowar

Lyrics-

kripa sarowar kamal manohar
shree krishna charan gahiye
leela purushottama radhavar
radha maadhav bhav badha har
aakarshan ke kendra krishna hain
sundartam rasikendra krishna hain
krishna krishna kahiye
shree krishna sharan gahiye
sada sarwamaya hai sarvottama
kyu na sada dhyayae unko hum
sakal labh lahiye

Baje re muraliya baje

Listen to Baje re muraliya baje

Lyrics-

vimukh shikhar se dhara
dhaye radha hari sammukh aaye
bansuriya hari saanwariya ki radha gori sun bhave
baje muraliya baje baaje re muraliya baaje
adhar dhare mohan murali par hont pe maaya viraaje
hare hare baans ki bani muraliya
maram maram ko chhuve anguliyaan
chanchal chatur anguliyan jispar
pili mundari anguri shyam
mundari par radha ka naam
aakar dekhe sune madhur swar
radha gori laaje
kanak mundariya saaje

Shyam ghan ghan shyam

Listen to shyam ghan ghan shyam

Lyrics-

shyam ghan ghan shyam barso bahut pyasi hoon
raas bin ras ratri ke gehri udasi hoon
aaj sraddha ko sahara hai nahi vishwas ka
bhoomi ke s ir par nahi hai haanth ab aakaash ka
sam vina shram shamvina main swar latasi hoon
jise radha ne churaya wahi bhuli venu hoon main
shyam ki pyari bisari wahi braj ki renu hoon main
kya kahoon main aur prabhu ki charan dasi hoon

Narayana vandan

Listen to narayana vandan

Lyrics-

naarayana vandan nirantar
nidhi pati narayana prati nidhi nar
aayen nit nav nidhi nar ke ghar
narayan ka nitya nirantar kar man abhinandan
narayana bin nar agyani narayana nar ke vardani
ek manorath rath main baithe nitya janardan jan
nar ke nitya sakha narayana nar ke karan geeta gaayan
hum bhagatan ke bhagat humare narayana ka pran
shree man narayana bhajman narayana

1 comments: